Naat Lyrics
                            
                            Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
 Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
 Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
 Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
 Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
 Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna
Ae Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
 Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
 Ae parda nasheen dil ke parde mein raha kerna
 Jab waqt e nazah aye deedar aata karna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna