i am here
Owais Raza Qadri
Mujhe Rang De Maula
Listen High Quality MP3 Naats of Album Mujhe Rang De Maula by Naat Khawan Owais Raza Qadri. To Download, Please click the Arrow Sign being displayed with each Naat. Share Album Mujhe Rang De Maula With your family and friends.

Sachi Baat Sikhatay Ye Hain

Sachi baat sikhatay ye hain
Seedhi raah chalatay ye hain

Naz-e-rooh mein aasani dain
Kalma yaad dilatay ye hain

Marqad mein bandon ko thpak kar
Meethi neend sulaatay ye hain

Qasr-e-dana tak kis ki rasaai
Jaatay ye hain hain aatay ye hain

Thanda thanda meetha meetha
Peetay hum hain pilaatay ye hain

Faiz-e-jaleel khaleel se poocho
Aag mein bagh lagatay ye hain

Apnay bharam se hum halkon ka
Palla bhari banatay ye hain

Laakh balayein karoron dushman
Kon bachaye bachatay ye hain

Apni bani hum aap bigaarein
Kon banaye banaatay ye hain

Sallim sallim ki dhaaras se
Pul se paar lagatey ye hain

Maan jab iklotay ko choray
Aa aa keh k bulaatay ye hain

Un k haath mein har kunji hai
Malik-e-kul kehlatay ye hain

Keh do raza se khush ho khush reh
Muzda raza ka sunaatay ye hain.